khushiyaa laati hai
kabhi yaadyein bhi kaante ki tarah chubthi hai
gham ke badal cha jaate hai
yaadein bhi kya cheez hai
gham aur khushi bhi laati hai
lekin inhi yaadon se zindagi hai
yahi yaadein hamara ateeth hai
jab do jaan milte hai
na jane kaisa rishta ban jata hai
dosti na sahi ek pehchana sa chehra ban jata hai
usi chehre ki yaad kabhi aati hai hamein
kabhi us din ki khushi ya gham laati hain
ham woh chehra kahan kho gaya na jante hue bhi
yaad karte rahe hum
inhi yaadon se zindagi ka haseen pal mil ja ta hai
koi rishta dosti mein badal jata hai
milna julna rehta hai unmein
bichadne ke bhi samay par rota hai yeh dil
uski yaad mein
dosti aisa rishta hai,jisme yaadein bahot hai
khushi ke bhi,gham ke bhi
kabhi hasna,kabhi rona,roke manana
yeh to dosti ke haseen lamhein aur yaadein hai
kai rishtey pyaar mein badal jate hai
sapno ka mahal bana jate hai
har pal uski yaad aati hai
milne ki cha hoti hai
kabhi pyaar nahi paate hum
phir bhi hamein na gum hain
kyunki pyaar ke woh char din
sau baras se kam nahin
wohi yaadein hi hamari zindagi hai
wohi yaadein hi hamari khushiyan hai
pyaar ne kya jana,dil todna
yaadein bada deti hai
yaadein bhi ek ajeeb sa ehasas hai
jo kabhi na jooda hote hai
woh har pal har khushi aur gam me hamarae saath rehte hain
chahe koi saath na de hamara,yaadein deti saath hamara
yaadein zindagi ka ek haseen aur khoobsurat pal hai
No comments:
Post a Comment